Wednesday 12 September 2012

“Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha.
dil uski mohabat main giraftaar hua tha.
Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha.
woh roop k jis roop se kalyaan bhi lajain.
woh zulf k jis zulf se sharmain ghha^tain.
mae’y khane^y nigahoon pe, Adaao ke taraane^y.
da^y daal mujhe husn-e-mohabbat ke khazane.
Haan Aisi he Eik Raat thi.
Ayasa he sama tha.
Yeh Chand bhi puura tha.
Zamana bhi jawan tha.
Eik pae^r ke Sayae main jab Iqraar hua tha.

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha.hay pyaar hua tha.

kashmire ki waadi ke woh purr qaid nazare.
lamhaat muhabbat ke jahan hum ne guzaray.
Angrae^yan le kar meri bahoon ke sahare.
gul naar nazar ate thay woh sharam ke maree.
Yak tarfa na thee husn-e-muhabbat ke Esharee.
Usne bhi kai baar mere baal sanwaree.
Ehsaas ka,Jazbaat ka Ezhar hua tha.

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha

kuch rooz kate^y unhi bura waqt jab aya.
Us husn ki devi ne bhi nazroon ko pheraya.
qurbat ne zamane ke nigahoon se giraya.
Anchal mere hatoon se muhabbat ne chhuraya.
Ek raat ko Usne mujhe suuta hua chhoora.
jaldi woh kahin pyaar ko ruuta hua chhoora.
soya hua main neend se jaga ju saware.
woh jab na milii chhagaye ankhoon main andhere.
taqdeer kisi ko bhi bure din na dekhae^y.
hote^y hain bure^y waqt main Apne bhi paraye.
kia pyaar ki daolat ka talabgaar hua tha

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha.
dil uski mohabat main giraftaar hua tha.

Ek Husn Ki Devi se mujhe pyaar hua tha,hay pyaar hua tha

No comments:

Post a Comment