Wednesday 30 January 2013

Lam yati naziru kafi nazarin

lam yati naziru kafi nazarin
lam yati naziru kafi nazarin

misli to nashud peda jana
misli to nashud peda jana

jagraaj kotaaj tore sarsoon
jagraaj kotaaj tore sarsoon

hai tujh ko shahedo sarajana
hai tujh ko shahedo sarajana

albeheroaala val mojo tagha
albeheroaala val mojo tagha

man be kaso toofan hosh ruba
man be kaso toofan hosh ruba

majhdar mai hu bigri hai hawa
majhdar mai hu bigri hai hawa

mori naayian par laga jana
mori naayian par laga jana

ya shamsoo nazar telaleli choomatebarasi arzebo kuni
ya shamsoo nazar telaleli choomatebarasi arzebo kuni

tori jot ki jhaljhal jag me rachi
tori jot ki jhaljhal jag me rachi

mere shab me na din ho na jana
mere shab me na din ho na jana

ana fi ata shaun vasakha katam
ana fi ata shaun vasakha katam

ae keysoo-ae-pak ae abr-e-karam
ae keysoo-ae-pak ae abr-e-karam

barsan haray rimjhim rimjhim
barsan haray rimjhim rimjhim

do boond idhar bhi gira jana
do boond idhar bhi gira jana

lam yati nazirun kafi nazarin
lam yati nazirun kafi nazarin

misli to nashud peda jana
misli to nashud peda jana

jagraaj kotaaj tore sarsoon
jagraaj kotaaj tore sarsoon

hai tujh ko shahedo sarajana
hai tujh ko shahedo sarajana

Tuesday 29 January 2013

Tamam umar aey dolat sametny walon


Tamam umar aey Dolat sametny walon,,

kafan main jaib nahi hoti khayal rakhna

Qatal'gahain basane waly hain

Qatal'gahain basany waly hain,
hum janazy uthany waly hain,

Hum pe kya kya qayamaten dhaien,
jab suna muskurane waly hain,

Ye suna hai k ab naye dhab se,
woh humain aazmane waly hain,

Maine bachon se keh diya kal shab,
imtehan or aane waly hain,

Jane kese chalak pari aankhain,
hum to gham ko chupane waly hain,

Aankhon aankhon main keh gaye hum bhi,
hum kahan baaz aane waly hain,

Woh tou khud hi bhatak rahy hain "Aks"
rasta hum dikhane waly hain

Chashme purnam khareed sakta hoon


Chashm-E-purnam khareed sakta hoon,
zulf barham khareed sakta hoon,

Tu agar apna bana le mujhko,
Tera har gham khareed sakta hoon

Andaaz


Andaaz apna dekhty hain aainy main woh

Zulfain sanwar k kabhi zulfain bigaar k

Kisi din

Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din,
Kiya roz garajty ho baras jao kisi din,,

Raazon ki tarha utro mere dil main kisi shab,
dastak pe mere hath ki khul jao kisi din.
 

Poocha jo unse


Poocha jo unse chand nikalta hain kis tarha 

zulfon ko rukh pe daal k jhatka diya k yun

Phiry hain dhun main teri hum idhar udhar tanha

Phiry hain dhun mn teri hum idhar udhar tanha,
tujhe talash kiya hai nagar nagar tanha,

Humare sath sabhi hain magar koi bhi nahi,
hum anjuman main bethy huye hain magar tanha,

Gawah hain rah-E-shok-O-talab k sanaty,
kiya hai hum ne ye sabar aazma safar tanha,

Chale gaye hain na'jane kahan shareek-E-safar,
mujhe hayat ki rahon mn chod kar tanha,

Boht dinon se nahi tu rafeeq dida-O-dil,
boht dinon se akela hai dil nazar tanha,

Bhulane wale kabhi tune ye socha hai,
tere bagair hai kab se tera "Aks" tanha

Aey nigahe sheesha'gar ye kya tamasha ho gaya

Aey nigahe sheesha'gar ye kya tamasha ho gaya
Aaina ruswaiyon k dar se dhundhla ho gaya,

sajda"rezi hi agr hai bais-E-izat-O-sharf,
Phir tou har insan se afzal Farishta ho gaya,

Aakhrish nikla ye anjam-E-talash-E-rozgar,
ibn-E-Adam waqt se pehle hi burha ho gaya,

Daf'atan uss se bichar k mujhko ye andaza hua,
jo musalsal dekhta tha khuwab poora ho gaya,

Waqt se pehle parinde aashiyan mn aa'gaye,
 shaam se pehle hi sara shehr soona ho gaya,

Jab dikhaye usne mujhko mere asli khadokhal,
aaina hathon se gir kar reza reza ho gaya,

Qat'aa kar deti hai "Aks" saare rishte muflisi,
doston ka dushmano jesa ravaiya ho gaya

Monday 28 January 2013

Khilte phoolon ki rida ho jaye

Khilte phoolon ki rida ho jaye
itni hasaas hawa ho jaye

 Mangte hath pe kaliyan rakhde
Itna mehrbaan Khuda ho jaye

Khatayain dekhta b hai atayain kam nh krta

Khatayain dekhta bhi h atayain kam nh karta

samajh mn ye nh ata wo itna mehrbaan q hai

Kali pe qatra-E-shabnam ka dukh ayaan na hua

Kali pe qatra-E-shabnam ka dukh ayaan na hua
umedwar thy hm bhi use gumaan na hua

Tamam shehr mn uss k karm k charche thy
 Ye or baat k hm par wo mehrban na hua
Main tou samajh raha tha k mujh'pr hai mehrban
dewar ki ye chaon tou sooraj k sath thi

Faslaun ko takaluf hai hum se agar

Faaslaun ko takalluf hai hum se agar, hum bhi bay bus nahi, bay sahara nahi
Khud Inhi ko pukarenge hum door se, raaste me agar paoon thak jaenge

Jaise hi Sabz Gumbad nazar aega, bandagi ka qareenah badal jaega
Sar jhuka ne ki fursat milegi kise, khud hi aankhaun se sajde se tapak jaenge

Hum Madine me tanha nikal jaenge, aur galiyaun me qasdan bhatak jaenge
Hum wahaan jakay wapas nahi aenge, dhoond te dhoond te log thak jaenge

Naam Inka jahaan bhi liya jaega, Zikr Inka jahaan bhi kiya jaega
Noor hi Noor seenaun me bhar jaega, Sari Mehfil me Jalwe lapak jaenge

Ai Madine ke zaer Khuda ke liye, daastanay safar mujh ko yoon mat suna
Dil tadap jaega, baat badh jaegi, mere muhtaat aansoon chalak jaenge

Inki Chasme Karam ko hai, iss ki khabar, kis musafir ko hai kitna shauqe safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili, hum bhi AQA ke Darbaar tak jaeng

Saturday 26 January 2013

Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa

Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Har Koee Fida Hai Bin Dekhe, Deedaar Ka Alam Kya Hoga

Ek Simt Ali Ek Simt Umar, Siddiq Idhar Uthmaan Udhar
In Jug Mug Jug Mug Taraun May, Sarkaar Ka Alam Kya Hoga

Jis Waqt Haleemah Ki Godi, Anwaare Khuda Say Raushan Thi
Us Waqt Haleemah Daee Kay, Ghar Baar Ka Alam Kya Hoga

Jab Inke Gada Bhar Detay Hain, Shahaanay Zamana Ki Jholi
Mohtaaj Ka Jab Yeh Alam Ha, Mukhtaar Ka Alam Kya Hoga

Chahay To Ishaaraun Say Apne, Kaya Hi Palat Day Duniya Ki
Yeh Shaan Hai Unke Ghulamau'n Ki, Sardaar Ka Alam Kya Hoga

Sun Sun Kay Sahaba Ki Batein, Kuffar Musalmaan Hotay Thay
Phir Mere Rasool-E-Akram Ki, Guftaar Ka Alam Kya Hoga

Taibah Say Hawaein Atee Hai Baikal Ko Sukoon Mil Jata Hai
Iss Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Uss Paar Ka Alam Kya Hoga

Choarr Fikr Duniya Ki

Chhoarr fikr dunya ki chal madinay chaltay heyn
Mustafa ghulamon ki qismatayn badaltay heyn

Naqsh kar lay seenay par naam sarwaray deen ka
Yay wo naam he jiss say sab azaab ttaltay heyn

Sirf saari dunya mayn wo heyn kucha-ay ahmad
Jiss jaga bhi ham jesay khhotay seekay chaltay heyn

Aamina kay paalay ka kali kamli walay ka
Jashn ham manatay heyn jalnay walay jaltay heyn

Ham ko roaz milta he sadqa kamli walay ka
Mustafa kay ttukron par khush naseeb paltay heyn

Rahmaton kay sa-ay mayn saatth saatth chaltay heyn
Mustafa kay deevanay ghhar say jab nikaltay heyn

Naat e mustafa sunn kar aag sard hoti he
Zikr e mustafa sunn kar sangay dil pigaltay heyn

Ae Sabz Gumbad Wale

Aey Sabz Ghumbad Waale Manzoor Dua Karna
Jab Waqte Naza Aaey Didaar Ata Karna

Aey Noorey Khuda Aakar, Aankho Mei Sama Jaana
Ya Dar Pe Bula Lena, Ya Khwaab Mei Aa Jaana
Aey Pardaah Nashi Dil Ke, Parde Mei Raha Karna

Mehboobe Ilaahi Sa, Koi Na Hasin Dekha
Yeh Shaan Hai Unki Ke, Saayaah Bhi Nahi Dekha
Allah Ne Saaey Ko, Chaaha Na Juda Karna

Maí Qabr Andheri Mei, Ghabraa-Unga Jab Tanha
Imdaad Ko Meri Tum, Aa Jaana Zara Shaaha
Roshan Meri Turbat Ko, Lillaah Zara Karna

Mujrim Hu Jahaa Bhar Ka, Mehshar Mei Bharam Rakhna
Ruswaaey Zamaana Hu, Aaqa Kamli Mei Chupa Lena
Maqbool Dua Meri, Mehboobe Khuda Karna

Chehre Se Ziya Paai, Sab Chaand Sitaaro Ne
Is Dar Se Shifa Paai, Dukh Dard Ke Maaro Ne
Aata Hai Unhe Sabir, Har Dukh Ki Dawa Karna

Aane Walon Ye Tou Batao

Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he
Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he

Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho
Uss sa-ay mayn rab kay aagay sajda karna kesa he

Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay
Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he

Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do
Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he

Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho
Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kesa he

Wednesday 23 January 2013

Hijr ki aag mn sulgo to bura lagta h
tum meri deed ko tarso to bura lagta h

aarzo h k faqt mjpe mehrbaan raho
tum kisi or ko chaho to bura lagta h
Ab uska naam bhi lab se khurch diya hm ne 
kabhi jo shaks humain mehrbaan lagta tha

Kahan Talak...

Kahan talak or bhala hm jaan ka ziya'n krte
bichar gaya h to ye uski mehrbani hui

Aaye to yu k jese

Aaye to yun k jese hamesha thy mehrban
bhoole to yun k jese kabhi aashna na thy

Na poocho

Na poocho kya guzrti hai dil-E-khud'dar par
kisi be'mehr ko jb mehrban kehna hi parta h
Roz aatay Hain Baadal ?Abr-E-Rehmat lay Kar,

??Meray Sheher Ke Aamaal Unhain Brasnay Nahin Detay…
Karam jab Aaall-e-Nabi ka shareek hota hai,

Bigar bigar ke har kaam theek hota hai..
Hawaa khilaaf thi lekin chiraag bhi khoob jala,

Khuda bhi apne honey ke kya kya saboot deta hai..
Bhulaogy na kabhi,, sada yaad rakhogy
Mohabbat, khuloos, or wafa yaad rakhogy,

Hansty hansty rona or rotay rotay hansna,
Bichar gaye toh meri har adaa yaad rakhogy.
Raabta toot chuka h toh sadayain kesi,
Ab jo milna hi nh h toh wafayain kesi,

Usay kaho apni yaadain or aansu wapis le le...
Nh koi jurm mera toh ye sazayain kesi????
Sar si girti hain toh shanon pe bikhar jati hain

Tum ne zulfon ko bara sar pe charha rakha hai
 Tamam umar aey Dolat smetnay walon,,,
 
kafan mn jaib nh hoti khayal rakhna

Tuesday 22 January 2013

Choti Choti Raatain

(chhoti chhoti raate lambi ho jaati hai - 2
baith bithaye yunhi neende kho jaati hai
dil mein bechaini aankhon mein intazaar hota hai
jab kisiko kisise pyar hota hai - 2) - 2

betaabi kaa aalam dekha hai tanhai kaa mausam dekha hai
pal pal halchal hoti hai dil mein
jabse tujhako jaanam dekha hai
pyar mein aakhir kya nahi hota
dil kabhi hansta aur kabhi rota
kab dil pe kaabu kab khudpe ikhtiyaar hota hai
jab kisiko kisise pyar hota hai - 2

chhoti chhoti raate lambi ho jaati hai - 2
baith bithaye uhi ninde kho jaati hai
dil mein bechaini aankhon mein intezaar hota hai
jab kisiko kisise pyar hota hai - 2

Jabse Tune Mujhe Dewana Bana Rakha Hai

jabase tuune mujhe deewaana bana rakha hai
sang har shaks ne haathon mein utha rakha hai

usake dil par bhi kadi ishq mein guzari hogi
naam jisane bhi muhabbat ka sazaa rakha hai

pattharon aaj mere sar pe barasate kyon ho
mainne tujhako bhi kabhi apana khuda rakha hai

ab mere deed ki duniya bhi tamaashaai hai
toone kya mujhako mohabbat mein bana rakha hai

Raabta

Kehtein hai khuda ne
Iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya
Har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara
Mano mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye

Kehtein hai khuda ne
Iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya
Har kisi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara
Mano mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye

Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane
Humein kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Tu humsafar hai
Phir kya fikar hai
Jeene ki wajah yahi hai
Marna isi ke liye
Tera milna hai uss rab ka ishaara
Mano mujhko banaya tere jaise hi kisi ke liye

Kuch toh hai tujhse raabta
Kuch toh hai tujhse raabta
Kaise hum jaane
Humein kya pata
Kuch toh hai tujhse raabta
Tu humsafar hai
Phir kya fikar hai
Jeene ki wajah yahi hai
Marna isi ke liye

Kehtein hai khuda ne
Iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya
Har kisi ke liye
Ho ho ..hmm..oh ooo..hey

Hmm..Meherbaani jaate jaate
Mujhpe kar gaya
Guzarata sa lamha ek
Daaman bhar gaya
Tera nazaara mila
Roshan sitaara mila
Takdeer ki kashtiyon ko
Kinaara mila

Sadiyon se tarse hai
Jaisi zindagi ke liye
Teri saubat mein hai
Duayein usi ke liye

Kehtein hai khuda ne
Iss jahan mein sabhi ke liye
Kisi na kisi ko hai banaya
Har kisi ke liye
Ho ho ..hmm..oh ooo..hey

Monday 21 January 2013

Aunty Ji

Thats right babay, Aunty Ji
This one' s is for you

Abhi bhi hai jawani, zara si hai purani
Hai phir bhi jawani honey ji
Sharma bhula ke, haan thumka laga ke
Karo na thoda manmaani ji

Abhi bhi tere gaal gore-gore
Lakhon dilon pe dale dore-dore
Dekho deewane hue jaa rahe hain
Aadhe umar ke bhi chhore-chhore
Ha baalon ki safedi se pheeka kab hua hai romance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance

Tu kay bore dista, tu muj barabar yo, beste boson rav naka, tuka shikoyta disco...
Aunty yo yo mauja maria maria.. aunty aunty..

Dil toh chhichhora kawara vaar vaar jaaye
Funky adaaon pe marr marr jaaye baby
Kaliyan kanwari tajurbe se bani aunty

Jitna puraana ho sona sona sona
Kyun na phir bhi rahega woh sona sona sona baby
Aur nasheeli ho wine puraani aunty

Yeh toh bataa hare o re o re
Aunty bulaaye mujhe kyun re kyun re

Aunty bulaane mein jo mazaa hai woh
Naam bulaane mein no re no re

O kamariya jo dekhi toh bachne ka nahin koi chance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance

Patli nahin jo kamar teri teri toh ka
Ab bhi lagey gadar badi badi baby
Smile abhi bhi hai million dollar aunty

Hai na woh tera hubby hubby hubby
Lagne laga hai tera daddy daddy daddy
Bitiya jo teri woh behan lage hai aunty

Paani mein jaake munh dhole dhole
Chhede kyun mujhe badtameez chhore
Dhone se badtameezi jaati nahin
Chhedenge yunhi tujhe chhore chhore

Haan baalon ki safedi se pheeka kab hua hai romance
Aunty ji, aunty ji, get up and dance

Criminal

O o ..
Look out, look out the siren' s blaring
She drop it down I can' t stop staring
O o ..

Teri nazar toh hai farebi
Tera hua yeh jaan ke bhi

She is burning like a fever
And I' m a believer
Nasha hai nazakate
Inn aankhon ke chodo
Adaa mein karodo
Chhupi hai sharaaratein
Its criminal baby booty going pop pop pop
Its criminal baby party won' t stop stop stop
Its criminal that shorty driving me crazy
Sexy like the girl should be
Spending all my money on her

Oh ishq asar kare dinna dinna
Dil ka hashar kare dinna dinna
Ek nazar kare dinna dinna
Lakh daketiyaan
Ho ishq asar kare dinna dinna
Dil ka hashar kare dinna dinna
Ek nazar kare dinna dinna
Lakh daketiyaan
Its criminal baby booty going pop pop pop

Nigaahein aate jaate, nazaare mere dekhe tham ke ho tham ke
Ujaale phaile mere adaayein sheeshe jaise cham ke ho cham ke

O aadhi se zyada neendhein nakhre churaaye
Baaki bachi jo teri zulfein udaaye
Tu hi bata de kaise khud ko bachaaye
Yeh aankhein teri kare choriyaan

Its criminal baby booty going pop pop pop
Its criminal baby party won' t stop stop stop

Oh ishq asar kare dinna dinna
Dil ka hashar kare dinna dinna
Ek nazar kare dinna dinna
Lakh daketiyaan
Ho ishq asar kare dinna dinna
Dil ka hashar kare dinna dinna
Ek nazar kare dinna dinna
Lakh daketiyaan

Chori chori seenay se saansein
Chori chori le gayi chura ke
Chori chori khwaabon me aake
She got me loosin my mind

Chori chori aankhon me aake
Chori chori khwaabon me jaake
Chori chori neendhe chura ke
She got me loosin my mind

Look out, look out the siren' s blaring
She drop it down I can' t stop staring
O o ..

Teri nazar toh hai farebi
Tera hua yeh jaan ke bhi
O o ..

Just might be a criminal
She is burning like a fever
And I' m a believer
Nasha hai nazakate
Inn aankhon ke chodo
Adaa mein karodo
Chhupi hai sharaaratein
Its criminal baby booty going pop pop pop
Its criminal baby party won' t stop stop stop
Its criminal that shorty driving me crazy
Sexy like the girl should be
Spending all my money on her

Oh ishq asar kare dinna dinna
Dil ka hashar kare dinna dinna
Ek nazar kare dinna dinna
Lakh daketiyaan
Oh ishq asar kare dinna dinna
Dil ka hashar kare dinna dinna
Ek nazar kare dinna dinna
Lakh daketiyaan

Bhare Naino

Kyun, na bole mose mohan
Kyun, hai roothe roothe mohan yun
Kaise manaun haye kaise manaun
Kyun, na bole mose mohan
Kyun, hai roothe roothe mohan yun
Kaise manaun haye kaise manaun

Unn bin kate na raina
Unn bin aave na ik pal chaina
Unn bin jiyun to kaise main jiyun haye

Bahe naina bhare more naina, jhare more naina
Mohe naina sune nahin kehna, bahe more naina
Bahe naina bhare more naina, jhare more naina
Mohe naina sune nahin kehna, bahe more naina

When you go when you leave then you take a little piece of me
There' s a hole in my soul coz you take a little piece of me

Haan naino ke dwaare, aane ke vaade
Baandhe aise bolo kaahe
Chaukhat pe dil ki, aahat rakhi hai
Taako pe hai tohre saaye
Unn bin unhe manaaye
Unn bin kabhi jo unko rijhaaye
Unn bin chale hai mora yeh jiya haye

Bahe naina bhare more naina, jhare more naina
Mohe naina sune nahin kehna, bahe more naina
Bahe naina bhare more naina, jhare more naina
Mohe naina sune nahin kehna, bahe more naina

Haan komal badi hai, saasan ki dori
Roothe se bhi toot jaaye
Baavan tarah se, jee ko manaaya
Khoje arjun tohri raahein

Unn bin unhe na paayun
Unn bin unhe main karva lagaun
Unn bin unhe na mora jee lagey haye

Bahe naina bhare more naina, jhare more naina
Mohe naina sune nahin kehna, bahe more naina
Bahe naina bhare more naina, jhare more naina
Mohe naina sune nahin kehna, bahe more naina
Bahe naina bhare more naina, jhare more naina
Mohe naina sune nahin kehna, bahe more naina
Bahe naina bhare more naina, jhare more naina
Mohe naina sune nahin kehna, bahe more naina

Tum Chain Ho

Tum Chain Ho
Kararr Ho
Mera Ishq ho
Mera Pyaar ho

Barso kiya mene jiska mene
Tum Wohi Inteezar ho

Tum Chain Ho
Kararr Ho
Mera Ishq ho
Mera Pyaar ho

Mujhse sanam tum inti
Mohabaat karo
Ke Sara zamana Jal Jayee

Armaaan bade is dil mein
Tehre hue Yeh Dil Tumhein Kaise Samjhaye
MEra Khawab ho
MEri Yaaad ho
Tum Mera Itebaar Ho

Tum Chain Ho
Kararr Ho
Mera Ishq ho
Mera Pyaar ho

Har fasla mere dard ko
KArta Baiyaan
Tum in Dhadkon mein Ho har ghadi
KEhni lagi Khamoshiyan
Aye JAnejaan Hai Mujhko Umeeedien Tumse badi

Mehka gai jo meri zindagi
Tum yaara wohi bahar ho

Tum Chain Ho
Kararr Ho
Mera Ishq ho
Mera Pyaar ho

Tum Chain Ho
Kararr Ho
Mera Ishq ho
Mera Pyaar ho
Mera Ishq ho
Mera Pyaar ho
Mera Ishq ho
Mera Pyaar ho

Teri Meri


Teri meri, meri teri prem kahani hai mushkil
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Ik ladka, ik ladki ki yeh kahani hai nayi
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye

Teri meri, meri teri prem kahani hai mushkil
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Ik dooje se hue judaa, jab ik dooje ke liye bane
Teri meri, meri teri prem kahani hai mushkil
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Aa ..

Tumse dil jo lagaya, toh jahaan maine paaya
Kabhi socha na tha yun, meelon door hoga saaya
Kyun khuda tune mujhe aisa khwaab dikhaya
Jab haqeeqat mein usse todna tha
Aa ..

Ik dooje se hue judaa, jab ik dooje ke liye bane
Teri meri, meri teri prem kahani hai mushkil
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye

Teri meri baaton ka har lamha sab se rangjaana
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Har ehsaas mein tu hai, har ik yaad mein tera afsaana
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye

Aa ..

Saara din bit jaaye, saari raat jagaaye
Bas khayal tumhara, lamha lamha tadpaaye
Yeh tadap keh rahi hai mit jaaye faasle
Yeh tere mere darmeyaan hai jo saare

Ik dooje se hue judaa jab ik dooje ke liye bane
Teri meri baaton ka har lamha sab se anjaana
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye
Har ehsaas mein tu hai har ik yaad mein tera afsaana
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye

Teri meri, meri teri prem kahani hai mushkil
Do lafzon mein yeh bayaan na ho paaye

Shukran Allah Wallahamdullila

(Shukran Allah Wallahamdullila)- 4
Nazaro Se Nazarein Mili Toh, Jannat Si Mehaki Fizaaye
Lab Ne Jo Lab Chhu Liya Toh, Aasmaan Se Barasi Duwaaye
Aisi Apani Mohabbat, Aisi Ruhe Ibaadat
Hum Pe Meherbaan Do Jahaan...
(Shukran Allah Wallahamdullila)- 4

Teri Baahon Mein Yeh Jism Khil Gaya
Teri Saason Mein Chain Mil Gaya
Kaise Rahe Abb Hum Juda
Ho Ho Tere Paas Hum Itane Huye
Tere Khwaab Apane Huye
Aise Huye Abb Hum Fida
Aisi Uski Inaayat, Mit Gayi Har Shikaayat
Hum Pe Meherbaan Do Jahaan...
(Shukran Allah Wallahamdullila)- 4

(Maula.... Shukraan Allah)- 2
Tere Saaye Mein Mili Har Khushi, Teri Marzi Meri zindagi
Le Chal Tu Chaahe Jahaan
Ha Ha Meri Aankhon Mein Nazar Teri Hai
Meri Shaamo Sahar Teri Hai
Tu Jo Nahi Toh Main Kahaan
Khil Gayi Meri Kismat, Paake Teri Yeh Chaahat
Hum Pe Meherbaan Do Jahaan...
(Shukran Allah Wallahamdullila)- 4

Ali Maula

(La Fatah Illa Ali, La Saifa Illa Zulfiqar)- 2
Ali Ali Ali..
Himmatein Ata Karo, O Madadgaar Maula
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Maula, Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
Aap Hi Ho Kuwate Parwardigaar Maula
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
Maula, Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Shaah-E-Marda Sher-E-Ajada Jaan Fida Tum Pe Maula
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
Maula, Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Maula Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula..


Himmatein Ata Karo, O Madadgaar Maula
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Maula, Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
Aap Hi Ho Kuwate Parwardigaar Maula
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Maula, Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Shaah-E-Marda Sher-E-Ajada Jaan Fida Tum Pe Maula
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Maula Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula..

Ya Ali Jasbaad Kya Hai Maula, Haalaat Kya Hai Maula
Ke Shaatir Isake Waar Hain
O Har Saansein Khwaash Sile, Saajish Hai Kuchh Hai Gile
Ke Mushkilaatein Hai Beshumaar Hai
O Shaah-E-Marda Sher-E-Ajada Jaan Fida Tum Pe Maula
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Maula Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula..
Himmatein Ata Karo, O Madadgaar Maula
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Maula, Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
Aap Hi Ho Kuwate Parwardigaar Maula
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Maula, Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Shaah-E-Marda Sher-E-Ajada Jaan Fida Tum Pe Maula
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
O Maula Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula..
O Maula Ali Maula .....

Kurbaan Huwa

Kurbaan Huwa Teri Tishnagi Mein Yuun
Kurbaan Huwa Teri Aashiqi Mein Yuun
Bekhudi Mein Bekali Mein Bekasi Mein Hua
Tujhko Har Dua Di, Aur Daga Bhi, Aur Fanaa Hua
Kurbaan Huwa, Kurbaan Huwa
Ada Pe, Wafaan Pe, Jafa Pe
Kurbaan Huwa, Kurbaan Huwa

Rubaru Tu Magar, Tanaha Hai Yeh Jahaan Ooo
Jal Uthe Meri Kufr Se Saanson Ka Yeh Samaan Ooo
Kya Huwa Pal Mein Jaane Kho Gaya Kyon
Tu Mila Aur Juda Imaan Huwa Yuun
Bekhudi Mein Bekali Mein Bekasi Mein Hua
Tujhko Har Dua Di, Aur Daga Bhi, Aur Fanaa Hua
Kurbaan Huwa, Kurbaan Huwa
Ada Pe, Wafaan Pe, Jafa Pe
Kurbaan Huwa, Kurbaan Huwa

Marne Ka Sabab Maangata Raha Darbadar
Mitne Ko Toh Dil Pal Mein Raaji Huwa
Puri Huyi Har Aaraju Har Daastaan Meri
Ke Tum Shuru Huye Jahaan, Main Khatam Huwa
Kurbaan Huwa, Kurbaan Huwa
Ada Pe, Wafaan Pe, Jafa Pe
Kurbaan Huwa, Kurbaan Huwa

Behti Hawa Sa Tha Woh

Behati Hawa Sa Tha Woh, Udati Patang Sa Tha Woh
Kahaan Gaya Use Dhundon

Behati Hawa Sa Tha Woh, Udati Patang Sa Tha Woh
Kahaan Gaya Use Dhundon
Hmm Hamko Toh Raahein Thi Chalaati
Woh Khud Apani Raah Banaata
Girata Sambhalata Masti Mein Chalata Tha Woh
Hamko Kal Ki Fikar Sataati, Woh Bas Aaj Ka Jashn Manaata
Har Lamahe Ko Khulake Jita Tha Woh
Kahaan Se Aaya Tha Woh, Chhuke Hamaare Dil Ko
Kahaan Gaya Use Dhundon

Sulagati Dhup Mein Chhanv Ke Jaisa
Registaan Mein Gaanve Ke Jaisa
Mann Ke Ghaanv Pe Marham Jaisa Tha Woh
Ham Sehame Se Rehate Kuye Mein
Woh Nadiya Mein Gote Lagaata
Ulti Dhaara Chir Ke Tairata Tha Woh
Baadal Aawaara Tha Woh, Yaar Hamaara Tha Woh
Kahaan Gaya Use Dhundon
Hamko Toh Raahein Thi Chalaati, Woh Khud Apani Raah Banaata
Girata Sambhalata Masti Mein Chalata Tha Woh
Hamko Kal Ki Fikar Sataati, Woh Bas Aaj Ka Jashn Manaata
Har Lamahe Ko Khulke Jita Tha Woh
Kahaan Se Aaya Tha Woh, Chhuke Hamaare Dil Ko
Kahaan Gaya Use Dhundon.

Jaane Nahi Denge Tujhe

(Jaane Nahin Denge Tujhe, Jaane Tujhe Denge Nahin) - 2
Chaahe Tujhako Rab Bula Le, Hum Na Rab Se Daranewaale
Raahon Mein Datake Khade Hai Hum
Yaaron Se Najarein Chura Le, Chaahe Jitana Dum Laga Le
Jaane Na Tujhako Aise Denge Hum
Jaane Nahin Denge Tujhe, Jaane Tujhe Denge Nahin

Do Kadam Ka Yeh Safar Hai Umrr Chhoti Si Dagar Hai
Ik Kadam Mein Ladkhadaaya Kyun
Sun Le Yaaron Ki Yeh Baatein, Bitengi Sab Ghum Ki Raatein
Yaaron Se Rutha Hai Saale Kyun
(Jaane Nahin Denge Tujhe, Jaane Tujhe Denge Nahin) - 2

Maa Ne Khat Mein Kya Likha Tha, Jiye Tu Jug Jug Yeh Kahaan Tha
Chaar Pal Bhi Ji Na Paaya Tu
Yaaron Se Najarein Mila Le, Ik Baar Tu Muskura De
Uth Ja Saale Yuun Sataata Hai Kyun
(Jaane Nahin Denge Tujhe, Jaane Tujhe Denge Nahin) - 3

Aa Eye Aa Aa O

Aa Eye Aa Aa O
Dil Ne Bahut Roka Maine Bahut Toka
Hey Dil Ne Bahut Roka Maine Bahut Toka
Pyaar Na Maana Mera Pyaar Na Maana
Teri Zindagi Mein Chali Aayi Chali Aayi
Aa Eye Aa Aa O
Dil Ko Kyon Roka Khud Ko Kyon Toka
Pyaar Na Maana Tera Pyaar Na Maana
Meri Zindagi Mein Chali Aayi Chali Aayi
Chali Aayi Chali Aayi Chali Aayi
Aayi Aayi Aayi Aayi Chali Aayi Chali Aayi
Chali Aayi Chali Aayi Chali Aayi
Aayi Aayi Aayi Aayi Chali Aayi Chali Aayi
(Aa Eye Aa Aa O) - 2

(Aa Eye Aa Aa O) - 2
Teri Khushi Hai Meri Khushi
Teri Hasi Hai Meri
Jo Teri Pasand Woh Meri Pasand
Ab Ho Gayi Hoon Mein Teri
Dekhun Main Rasta Tera Hi Rasta
Aur Koi Mujhe Na Jachta Aa Jaa Na Jaa
Teri Zindagi Mein
Meri Zindagi Mein
Teri Teri Zindagi Mein Chali Aayi Chali Aayi
Teri Zindagi Mein Chali Aayi Chali Aayi
(Aa Eye Aa Aa O) - 2

(Aa Eye Aa Aa O) - 2
Jo Tu Soche Woh Main Sochun
Aur Nahin Kuch Socha
Sapna Jo Tera Sapna Hai Mera
Main Sach Karne Aa Pahuncha
Dekhun Main Rasta Tera Hi Rasta
Aur Koi Mujhe Na Jachta Aa Jaa Na Jaa
Teri Zindagi Mein
Meri Zindagi Mein
Dil Ne Bahut Roka Maine Bahut Toka
Pyaar Na Maana Mera Pyaar Na Maana
Teri Zindagi Mein Chali Aayi Chali Aayi
Meri Zindagi Mein Chali Aayi Chali Aayi
Chali Aayi Chali Aayi Chali Aayi
Aayi Aayi Aayi Aayi Chali Aayi Chali Aayi
Chali Aayi Chali Aayi Chali Aayi
Aayi Aayi Aayi Aayi Chali Aayi Chali Aayi
(Aa Eye Aa Aa O) - 2

Na Hai Ye Pana Na Khona Hi Hai

Na Hai Yeh Pana, Na Khona Hi Hai
Tera Na Hona Jane, Kyun Hona Hi Hai
Tum Se Hi Din Hota Hai, Surmaiye Shaam Aati, Tumse Hi, Tumse Hi
Har Ghadi Saans Aati Hai, Zindagi Kehlati Hai, Tumse Hi, Tumse Hi
Na Hai Yeh Pana, Na Khona Hi Hai
Tera Na Hona Jane, Kyun Hona Hi Hai


Aankhon Mein Ankhein Teri, Bahoon Mein Baahein Teri
Mera Na Mujhmein Kuch Raha, Hua Kya
Baaton Mein Baatein Teri, Raatein Saugatein Teri
Kyun Tera Sab Yeh Ho Gaya, Hua Kya
Main Kahin Bhi Jata Hoon, Tumse Hi Mil Jata Hoon, Tumse Hi, Tumse Hi
Shoor Mein Khamoshi Hai, Thodi Si Behoshi Hai, Tum Se Hi, Tum Se Hi

Aadha Sa Wada Kabhi, Aadhe Se Jayada Kabhi
Jee Chaahe Kar Lu Is Tarah Wafa Ka
Chhode Na Chhoote Kabhi, Tode Na Tute Kabhi
Jo Dhaga Tumse Jud Gaya Wafa Ka
Main Tera Sarmaya Hoon, Jo Main Ban Paya Hoon, Tumse Hi, Tumse Hi
Raaste Mil Jaate Hai, Manzile Mil Jaati Hai, Tumse Hi, Tumse Hi
Na Hai Yeh Paana, Na Khona Hi Hai
Tera Na Hona Jaane Kyun Hona Hi Hai

Aaoge Jab Tum O Saajna

Aaoge Jab Tum O Saajana - 2
Angana Phool Khilenge
Barsega Saawan, Barsega Saawan Jhoom Jhoomke
Do Dil Aise Milenge
Aaoge Jab Tum O Saajana, Angana Phool Khilenge


Naina Tere Kajraare Hai, Hain Naino Pe Hum Dil Haare Hai
Anjaane Hi Tere Naino Ne Waade Kiye Kayi Saare Hai
Saanson Ki Lay Madham Chalein, Tose Gaye
(Barasega Saawan - 2) Jhoom Jhoomke, Do Dil Aise Milenge
Aaoge Jab Tum Ho Saajana, Angana Phool Khilenge

Chanda Ko Taaku Raaton Mein, Hai Zindagi Tere Haanthon Mein
Palkon Pe Jhilmil Taarein Hain, Aana Bhari Barsaaton Mein
Sapnon Ka Jahaan, Hoga Kela Kela
(Barasega Saawan - 2) Jhoom Jhoomke, Do Dil Aise Milenge

(Sargam)
Angana Phool Khilenge - 2 (Sargam)

Te Amo

Kisi ko sapna lagey tu, kisi ko behti hawa
Kisi ko bas baaton mein, kare pal mein yahan wahan
Kisi ke sau jhoot sun le, kisi ka sacch bhi ghunah
Kisi ka bas yaadon mein, kare hulchul saara jahaan
Te amo me te amo
Tu chaon hai, tu dhoop hai
Te amo me te amo
Tere hazaaron roop hai
Koi samja nahin, jo bhi hai bas khoob hai
Falling so crazy in love
Te amo me te amo
Tu chaon hai, tu dhoop hai
Te amo me te amo
Tere hazaaron roop hai

Kabhi lagey raaton mein main khwaabon se baatien karoon subha hogi
Khwaabon ko main kaabu karoon
Kabhi lagey taaron se bhi, unche udaane baroon
Kabhi lagey baadalon se jaibein baroon
Te amo me te amo
Taare ginnu tere liye
Te amo me te amo
Saare chunu tere liye
Khwaab saare bunu tere hi tere liye
Falling so crazy in love
Te amo me te amo
Taare ginnu tere liye
Te amo me te amo

Kabhi lagey mili nahin, tumse main khwaabon mein bhi
Kabhi lagey kahin toh hai ristha koi
Kabhi lagey choo tumhe, yunhi khayalon mein hi
Kabhi lagey nahin nahin chhori nahin
Te amo me te amo
Tu paas hai par door hai
Te amo me te amo
Jaata nahin yeh noor hai
Teri chhori bhi yeh manzoor manzoor hai
Falling so crazy in love
Te amo me te amo

Te amo me te amo
Jaata nahin yeh noor hai

Na Aaye Ho Na Aaoge

Na aaye ho, na aaoge, na phone pe bulaoge
Na shaam ki karaari chai, labhon se yun pilaoge
Na aaye ho, na aaoge, na din dhale sataoge
Na raat ki nashili bye se neendh mein jagaoge
Gaye tum gaye ho kyun, yeh raat baaki hai
Gaye tum gaye ho kyun, saath baaki hai
Gaye tum gaye hum tham gaye har baat baaki hai
Gaye kyun toh jiyein kyun

Na aaye ho, na aaoge, na dooriyaan dhikhaoge
Na thaam ke woh josh mein yun hosh se udaoge
Na aaye ho, na aaoge, na jhoot se sunaoge
Na rooth ke sihane mein, remote ko chupaoge
Gaye tum gaye ho kyun, yeh raat baaki hai
Gaye tum gaye ho kyun, saath baaki hai
Gaye tum gaye hum tham gaye har baat baaki hai
Gaye kyun toh jiyein kyun

Aankh bhi tham gayi, na thaki
Raat bhi na bhati, na kati
Raat bhi cherti marrti
Neendh bhi lutt gayi, chiin gayi
Raat bhi na sahi, na rahi
Raat bhi laazmi, zaalmi
Gaye tum gaye ho kyun, yeh raat baaki hai
Gaye tum gaye ho kyun, saath baaki hai
Gaye tum gaye hum tham gaye har baat baaki hai
Gaye kyun toh jiyein kyun
Gaye kyun toh jiyein kyun

Na aaye ho, na aaoge, na phone pe bulaoge
Na shaam ki karaari chai, labhon se yun churaoge