Tuesday 18 September 2012

ABHI FARMAAN AAYA H WAHAN SE

abhi farmaan aayaa hai wahaaN se
ke haT jaauuN maiN un ke darmiyaaN se

yahaaN jo hai tanaffus hii meN kam hai

parinde uR rahe haiN shaaKh-e-jaaN se

dariichaa band hai yaadoN kaa aur maiN

havaa suntaa huN peRon ki zabaaN se

thaa ab tak m’arkaa baahaar kaa dar-pesh

abhii to ghar bhii jaanaa hai yahaaN se

falaaN se behtar thii Ghazal falaaN kii

falaaN ke zaKhm acche the falaaN se

Khabar kyaa duuN maiN shah’r-e-raftugaaN kii

ko’ii lauTe bhii shah’r-e-raftugaaN se

yahii anjaam kyaa tujh ko havas thaa

ko’ii puuche to meer-e-daastaaN se

No comments:

Post a Comment