Wednesday 30 January 2013

Lam yati naziru kafi nazarin

lam yati naziru kafi nazarin
lam yati naziru kafi nazarin

misli to nashud peda jana
misli to nashud peda jana

jagraaj kotaaj tore sarsoon
jagraaj kotaaj tore sarsoon

hai tujh ko shahedo sarajana
hai tujh ko shahedo sarajana

albeheroaala val mojo tagha
albeheroaala val mojo tagha

man be kaso toofan hosh ruba
man be kaso toofan hosh ruba

majhdar mai hu bigri hai hawa
majhdar mai hu bigri hai hawa

mori naayian par laga jana
mori naayian par laga jana

ya shamsoo nazar telaleli choomatebarasi arzebo kuni
ya shamsoo nazar telaleli choomatebarasi arzebo kuni

tori jot ki jhaljhal jag me rachi
tori jot ki jhaljhal jag me rachi

mere shab me na din ho na jana
mere shab me na din ho na jana

ana fi ata shaun vasakha katam
ana fi ata shaun vasakha katam

ae keysoo-ae-pak ae abr-e-karam
ae keysoo-ae-pak ae abr-e-karam

barsan haray rimjhim rimjhim
barsan haray rimjhim rimjhim

do boond idhar bhi gira jana
do boond idhar bhi gira jana

lam yati nazirun kafi nazarin
lam yati nazirun kafi nazarin

misli to nashud peda jana
misli to nashud peda jana

jagraaj kotaaj tore sarsoon
jagraaj kotaaj tore sarsoon

hai tujh ko shahedo sarajana
hai tujh ko shahedo sarajana

Tuesday 29 January 2013

Tamam umar aey dolat sametny walon


Tamam umar aey Dolat sametny walon,,

kafan main jaib nahi hoti khayal rakhna

Qatal'gahain basane waly hain

Qatal'gahain basany waly hain,
hum janazy uthany waly hain,

Hum pe kya kya qayamaten dhaien,
jab suna muskurane waly hain,

Ye suna hai k ab naye dhab se,
woh humain aazmane waly hain,

Maine bachon se keh diya kal shab,
imtehan or aane waly hain,

Jane kese chalak pari aankhain,
hum to gham ko chupane waly hain,

Aankhon aankhon main keh gaye hum bhi,
hum kahan baaz aane waly hain,

Woh tou khud hi bhatak rahy hain "Aks"
rasta hum dikhane waly hain

Chashme purnam khareed sakta hoon


Chashm-E-purnam khareed sakta hoon,
zulf barham khareed sakta hoon,

Tu agar apna bana le mujhko,
Tera har gham khareed sakta hoon

Andaaz


Andaaz apna dekhty hain aainy main woh

Zulfain sanwar k kabhi zulfain bigaar k

Kisi din

Chehre pe mere zulf ko phelao kisi din,
Kiya roz garajty ho baras jao kisi din,,

Raazon ki tarha utro mere dil main kisi shab,
dastak pe mere hath ki khul jao kisi din.
 

Poocha jo unse


Poocha jo unse chand nikalta hain kis tarha 

zulfon ko rukh pe daal k jhatka diya k yun