Wednesday 19 September 2012

JAAN-E-JAAN EID MUBARAK

Eid Mubarak

Tumhari khamoshi ka sabab
Janta hoon main
Rothe hoey ho tum
Manta hoon main
Per hisaar-e-anna main qaid
Ab ki bar bhi
Meri yeh khuwaush hai
Ke har bar ki tarah
Tum mujhe manao
Per yunhi dino ka shumaar karte karte
Tumhara intezaar karte karte
Calender ki taraf dekha
Tu khayal aaya
Ab ki bar main
Apni anna ko tor donga
Muhubat ki kahani ko
Naya aik mor doga
Shayad isi tor hojaey
Meri sari kutaiyoon ka tadraak
Lo aaj main tumhain kehta hoon
Jaan-e-jaan
Eid Mubarak!!

No comments:

Post a Comment