Tuesday 18 September 2012

Shahar mn dhund raha hu k sahara de de

Shahar mein dhund raha hun ke sahara de de
koi hatim jo mere hath mein kasa de de
ped sab nange faqiron ke tarah sahame hain
kis se umeed ye ke jaye ki saya de de
waqt ke sangzani noch gai sare naqush
ab wo aaina kahan jo mera chehara de de
dushmanon ke bhi koi baat to sach ho jaye
aa mere dost kisi din mujhe dhoka de de
main bahut jald hi ghar laut ke aa jaunga
meri tanhai yahan kuch dinon pehara de de
dub jana hi muqadar hai to behatar varana
tune patavar jo chini hai to tinka de de
jis ne qataron ka bhi mohataj kiya mujh ko
wo agar josh mein aa jaye to dariya de de
tum ko “aks” ke tabiyat ka nahi andaza
wo bikhari hai magar mango to duniya de de

No comments:

Post a Comment