Nanhi gudia pooche maa se,
Bol main hoon kitni pyari,
Boli maa jitna bada yeh amber,
Jitni badi yeh dunia saari,
Tu to hai meri raajkumari,
Nanhi gudia maange chaand ,
Maa ne diya katore main utaar,
Dekh kar katore ke paani main chaand ,
Khil uthi gudia ki muskaan,
Sun kar kahani pari ki ,zidd karne lagi,
Ek baar jhalak dekhne ko pari ki ,
Maa ne mangaayi ek jaadui chadi,
Kar ke senghaar Ban gayi khud hi pari,
Dekh NANHI GUDIA phooly na samaayi,
ki jo maang maa to sab le aayee,
boli maa, sab kuch kar ke bhi
kuch kar na paayi, taqdeer to beti janam ke saath hi laayi
jise to koi bhi MAA badal na paayi...*
Bol main hoon kitni pyari,
Boli maa jitna bada yeh amber,
Jitni badi yeh dunia saari,
Tu to hai meri raajkumari,
Nanhi gudia maange chaand ,
Maa ne diya katore main utaar,
Dekh kar katore ke paani main chaand ,
Khil uthi gudia ki muskaan,
Sun kar kahani pari ki ,zidd karne lagi,
Ek baar jhalak dekhne ko pari ki ,
Maa ne mangaayi ek jaadui chadi,
Kar ke senghaar Ban gayi khud hi pari,
Dekh NANHI GUDIA phooly na samaayi,
ki jo maang maa to sab le aayee,
boli maa, sab kuch kar ke bhi
kuch kar na paayi, taqdeer to beti janam ke saath hi laayi
jise to koi bhi MAA badal na paayi...*
No comments:
Post a Comment