Tuesday 29 January 2013

Qatal'gahain basane waly hain

Qatal'gahain basany waly hain,
hum janazy uthany waly hain,

Hum pe kya kya qayamaten dhaien,
jab suna muskurane waly hain,

Ye suna hai k ab naye dhab se,
woh humain aazmane waly hain,

Maine bachon se keh diya kal shab,
imtehan or aane waly hain,

Jane kese chalak pari aankhain,
hum to gham ko chupane waly hain,

Aankhon aankhon main keh gaye hum bhi,
hum kahan baaz aane waly hain,

Woh tou khud hi bhatak rahy hain "Aks"
rasta hum dikhane waly hain

No comments:

Post a Comment