Tuesday 29 January 2013

Aey nigahe sheesha'gar ye kya tamasha ho gaya

Aey nigahe sheesha'gar ye kya tamasha ho gaya
Aaina ruswaiyon k dar se dhundhla ho gaya,

sajda"rezi hi agr hai bais-E-izat-O-sharf,
Phir tou har insan se afzal Farishta ho gaya,

Aakhrish nikla ye anjam-E-talash-E-rozgar,
ibn-E-Adam waqt se pehle hi burha ho gaya,

Daf'atan uss se bichar k mujhko ye andaza hua,
jo musalsal dekhta tha khuwab poora ho gaya,

Waqt se pehle parinde aashiyan mn aa'gaye,
 shaam se pehle hi sara shehr soona ho gaya,

Jab dikhaye usne mujhko mere asli khadokhal,
aaina hathon se gir kar reza reza ho gaya,

Qat'aa kar deti hai "Aks" saare rishte muflisi,
doston ka dushmano jesa ravaiya ho gaya

No comments:

Post a Comment