aey kaash, kaash yun hota
har shaam saath tu hota
chup chaap dil yun rota
har shaam saath tu hota
guzaara ho tere bin guzaara ab mushkil hai lagta
nazaara ho tera hi nazaara ab har din hai lagta
haal-e-dil tujh ko sunaata
dil agar yeh bol paata
ba-khuda, tujh ko hai chaahta, jaan!
tere sang jo pal bitaata
udhr se main woh maang laata
yaad kar ke muskuraata
tu meri raah ka sitaara
tere bina hun main aawaara
jab bhi tanhaai ne sataaya
tujh ko besaakhta pukaara
chaahat hai meri laa-fana
par meri jaan, dil mein hun rakhta
haal-e-dil tujh ko sunaata
dil agar yeh bol paata
ba-khuda, tujh ko hai chaahta, jaan!
tere sang jo pal bitaata
udhr se main woh maang laata
yaad kar ke muskuraata
khawaabon ka kab tak loon sahaara
ab to tu aa bhi jaa khudaara
meri yeh dono paagal aankhain
har paal maangain tera nazaara
samjhaoun in ko kis tarah
in pe mera bass nahi chalta
haal-e-dil tujh ko sunaata
dil agar yeh bol paata
ba-khuda, tujh ko hai chaahta, jaan!
tere sang jo pal bitaata
udhr se main woh maang laata
yaad kar ke muskuraata
No comments:
Post a Comment