Sunday 30 September 2012

SUNO.....


Friday 21 September 2012

HUM ROZ GUNAH KARTY HN WO CHUPATA H APNI REHMAT SE



MY LIFE 4 PROPHET MOHAMMAD S.A.W




MUJAY ITNA PYAR NA DO BABA

 
Mujhay itna pyar na do Baba
Kal jitna mujhay naseeb na ho,

Ye jo maatha chuma kertey ho

Kal is per shikan ajeeb na ho

Main jab bhi roti hon Baba

Tum ansoo poncha kertey ho

Mujhay itni dooor na chor aana

Main roun aur tum kareeb na ho

Meray naz uthatey ho Baba

Meray laad uthatey ho Baba

Meri choti choti khwahish per

Tum jan lutatey ho Baba

Kal aisa na ho ik nagri mein

Mein tanha tum ko yaad karon,
,
Aur ro ro ker faryad karon
Ay Allah
meray Baba sa,
Koi pyar jataney wala ho

Mera Naz Uthaney Wala Ho..!!!!

HUM MOHABAT KSI AUR SE NAHI KARTY


Farrukh Hum apni khud-dari ki numaaish nahi kia phirtey...

Jab tak zinda hain Maa Baap apne, hum mohabbat kisi aur se nahi krte......

Wednesday 19 September 2012

WOH LARKI B AJAB PAHELI THI

Woh Larki bhi Aik Ajeeb Paheli Thi
Pyasey Hont thy Aankh Samundar Jaysi thi

Sooraj Usko Daikh Ker Peela Perta Tha
Woh Sarma ki Dhoop mein Dhul Ker Nikli Thi

Usko Apny SaaYe Se Dar Lagta tha
Sooch K Sehra mein Woh Tanha Heerni thi

Aaty Jaaty Mausam Usko Dasty Thy
Hansti Hansti Palkoon se Ro Perti thi

Aadhi Raat Ganwa deti Thi Chup Reh Ker
Aadhi Raat K Chaand se Baatein Kerti Thi

Door Se Ujray Mandir Jaysa Ghar Uska
Woh ApnY Ghar mein Ikloti Devi thi

Moum Se Nazuk Jism Seher Ko Dukhta Tha
Diye Jala Ker Shab bhar Aap Pighalti thi

Taiz Hawa Ko Rok Ker Apny Aanchal Per
SookhY Phool Ikhaty Kerti Phirti Thi

Sub per Zahir ker deti thi Bhaid Apna
Sub Se Ik Tasveer Chupaye Rakhti thi

Kal Shab Chakna Chor Hua tha Dil Uska
Ya Phir Pehli Baar Woh Khul Ker Royi Thi

Moshin Kya Jaany Kion Dhoop se be'Parwah
Woh Apny Ghar Ki Dehleez Per Bethi Thi...???

PYAR KEHTY HAIN KISAY

Pyar Kehty Hain Kisai Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa
Dair Ho Jati He Ghar Aanai Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa
Marte Dam Bacha Na Aapaye Agar Pardes Se
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa
Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Ke Soo Jati Hai Maa
Tab Kaheen Ja Kar ‘Raza’ Thora Sukoon Pati Hai Maa
Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hotay Huwe Boodhi Nazar Aati Hai Maa

  Rooh Ke Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye
Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa
 Ek ek hasrath ko apne azm wo istekhal se
Anso’oan se ghusl de ker khud hi dhafna thi hai maa
 Oadthi hai hasrathoan ka khudtho bosida kafan
chahatoan ka payrahan bachoan ko pehnathi hai maa
Kab Zarurat Ho Meri Bachay Ko Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa

  Bhuka rehne hi nahi dethi yateemon ko khabhi
Jane kiskis se kahan se mang kar lati hai maa
Haddiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Ke Chain Ko
Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa

Jane Kitne Barf Si Ratoon Me Aysa Bhi Hua
Bacha To Chaati Pe Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa
Jab Khilone Ko Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool
Aansoon Ke Saaz Par Bachay Ko Behlati Hai Maa

  Fiker Ke Shamshaan Me Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaisai Sookhi Lakdeyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa
Muflisi bache ki zid par jab uthaleti hai haath
Jaisai ho mujrim koi is tarha sharmati hai maa
Apnay Aanchal Se Gulabi Aansuoon Ko Poonch Kar
Dair Tak Gurbat Pe Apne Ashk Barsati Hai Maa
samne Bachoon Ke Khush Rahti Hai Har Ik Haal Main
Raat Ko Chup Chup Ke Laikin Ashk Bersati Hai Maa

  Pehlay Bachoon Ko Khilati Hai Sukoon-o-Chain Se
Baad Mai Jo Kuch Bacha ho Shouk Se Khati Hai Maa
Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye ALLAH Se
Apnai Bachoon Ke Leye Daman Ko Phailati Hai Maa

Jane Anjane me hojaye jo bachoan se khusoor
Ek anjaani sazaa ke dar se tharrathi hai maa
Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho
Ek Naye Ehsas Ki Suli Pe Chard Jati Hai Maa

  Apne bachoan ki bahaar-e-zindagi ke waste
 Ansooan ke phool har mausam me barsati hai maa

 Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharaz
Be-Gharaz, Be-Lous, Har Khidmat Ko Kar Jati Hai Maa
Bazuwoon Me Khinch Ke Aajayegi Jaise Kayenat
Apnai Bachay Ke Leye Bahoon Ko Phailati Hai Maa
Zindagani Ke Safar Me Gardishoon Ki Dhoop Mai
Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa

  Pyar Kehtai Hain Kise Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa
Safha-e-Hasti Pe Likhti Hai Usool-e-Zindagi
Is Liye Ek Maktab-e-Islam Kehlati Hai Maa

Us Nayi Duniya Ko Diye Masoom Rahber Is Leye
Azmatoon Me Sani-e-Quran Kehlati Hai Maa
Ghar Se Jab Pardes JaTa Hai Koie Noor-e-Nazar
Haath Main Qur’an Le Kar Dar Pe Aajati Hai Maa

  De Ke Bachay Ko Zamanat Main Raza-e-Pak Ki
Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa
Kanpti Aawaz Sai Khaiti Hai “Baita alwida”
Samne Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hai Maa

Jab Parayshani Me Ghir Jate Hain Hum Pardes Me
Aansuwoon Ku Poanch Ne Khwaboon Main Aajati Hai Maa
Dair Ho Jati He Ghar Aane Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machli Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa

  Marte Dam Bacha Na aapaya agar  Pardes Se
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pe Rakh Jati Hai Maa
Baad Mar Janai Ke Phir Baite Ki Khidmat Ke Leye
Bhes Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa

Chahe hum khushyoun me maa ko bhool jayen doasto
Jab musibat sar pe aati hai tho yaad aati hai maa
Door Ho Jati Hai Sari Omr Ki Us Dum Thakan
Biyah Kar  Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa

  Cheen lati hai wohi aksar sukoon-e-zindagi                         
Pyar se dhulhan bana kar jis ko ghar lati hai maa

Hamne ye bhi tho nahi soachan alaag hone ke baad
Jab diya hi khuch nahi ham ne tho kya khati hai maa
Zabt tho dakho ke itni berukhi ke baujood
Bad dua deti hai hargis aur na pashtati hai maa

Saal bhar me ya khabhi hafte me jumeraat ko
Zindagi bhar ka sila ek Fateha pati hai maa  
  Apne pehlu me lita kar roz thouthe ki tarha
Eik barah panch chouda ham ko ratwati hai maa

Umr bhar ghafil na hona matame Shabbir se
Raat din apne amal se hamko samjati hai maa 
Yaad aata hai shab-e-ashoor ka kadyal jawan
Jab khabi uljhi huyi zulfon ko suljhati hai maa

Sab se pehle jaan dena Fatima ke lal par
Raat bhar Aun-o-Mohd ko ye samjhati hai maa  
  Fatima ke lal par qurban kar ne ke liye
Baandh kar sehra jawan bete ko leati hai maa

Allah Allah ithehade sabre Laila-o- Hussain
Baap ne khenchi sinah, sine ko sehlati hai maa
Ye bata sakti hai hum ko bus Rabab-e-Khastatan
Kis tarha bin doodh ke bache ko behlati hai maa

Shimr ke khanjar se ya sukhe gale se puchiye
“Maa” idhar mun se nikalta hai udhar aati hai maa  
  Aysa lagtha hai kisi maqtal se ab bhi waqte asr
Ek burida sar se “pyasa hoon” sada aati hai “maa”

Apne gam ko bhool kar rothe hain jo Shabbir ko
Un ke ashkoan ke liye Jannat se aajati hai maa
Shukriya ho hi nahi sakta khabhi us ka ada
Marte marte bhi dua jine ki de jati hai maa
                          Zindagani Ke Safar Me Gardishoon Ki Dhoop Me
                          Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa

MAA K NAAM


APNE GAREEB BABA KI BETI TUMHARI HAI


*>>Apne Gareeb Baba Ki Beti Tumhari Hai<<*
Zindagi Tmhari Hai, Har Khushi Tmhari Hai,
Yeh To Tae Hwa Jaanan!
Apne Gareeb Baba Ki Beti Tmhari Hai,
Sar Jhuka K Rakhongi, Dil Mila K Rakhungi,
Ghar Se Aap K Ab To, Mar K Hi Niklungi,
Ghar Tmhara Bhar Dongi,
Kuch Kami Jo Reh Jae Chahe Jo Saza Dena,
Ik Zara Yeh Waada Karo Zinda Na Jala Dena,
Saas Aur Nandoon Ka Hukum Main Na Taa Lungi,
Aap Ki Izat Ka Bhi Khayal Rakhongi,
Zaban Main Bhi Na Rakhti Hoon,
Per Lab Kbhe Na Kholongi,
Aap K Abaa Ki,
Phr Bhi Yeh Guzarish Hai,
Baba Ki Bhi Sifarish Hai,
Main To Aqal-E-Naqas Hoon,
Saare Gur Sikha Dena Mujhe Tum Bata Dena,
Raah Kese Chalte Hain,
Kis Jaga Pe Rukna Hai, Kese Muskurana Hai,
Rona Kis Jaga Pe Hai, Kis Jaga Pe Hansna Hai,
Saare Gur Sikha Dena Aap Mujhe Bata Dena,
Aap Mujhe Bata Dena....

MAIN ESI AAM SI LARKI HU

main Aesi Aam Larki Hun
jise Samjha Nahi Koi!!
ju Sare Khel Bachpan K
khilonoun Main Sajati Thi
ju Apne Dil K Sab Manzar
rangoun Se Banati Thi
ju Kuch Pane Ki Koshish Main
yunhi Haley Banati Thi
kitaboun Se Sabhi Haley
jala Paya Nahi Koi
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
kisi Din Un Khyaloun Main
muhabbat Ki Chamak Bhi Thi
magr Aesi Chamak Us K
khwaboun Tak Hi Rehti Thi
usi K Un Khwaboun Ne
yunhi Bas Ankh Kholi Thi
parhe Tukre Thay Khwaboun K
bhari Ranjish Se Jholi Thi
usi Jholi K Kuch Dhabbe
mita Paya Nahi Koi
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
wo Hansti Khelti Ankhein
yunhi Ashkoun Main Dikhti Thin
wo Zinda Manzaroun K Rang
phatey Kaghaz Main Rakhti Thi
na Bachpan Sath Tha Uske
jawani Uspe Roti Thi
magar Kuch Din Udasi Se
guzarey Ab Thakan Si Hai
ju Tufa_n Ankh Se Guzre
koi Be Bas Jalan Si Hai
jalan Aesi K Jis K Rang
hata Paya Nahi Koi
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
usi Khamosh Larki Ko
bohat Batein Batani Hain
muhabbat Main Baharoun Se
koi Khushbu Sajani Hai
agar Chaho Tu Tum Kardo
amar Karni Kahani Hai
main Aesi Aam Larki Hun
samajh Paya Nahi Koi
agar Chaho Samajh Lo Tum
mukammal Aas Kardo Tum
bohat Din Aam Guzre Hain
mujhe Ab Khas Kardo Tum.....!!!

APNI HE DHUN MN REHTI THI

Apni he dhun me rehti thi..

Ik larki shokh or chanchal si..

Hr aik say batein krti thi..

Khoob mauj masti wo krti thi..

Ik dhanak thi us ky chehray per..

Phir janay kya toofan aya..

Chehray k rung bikhar gay..

Khushiyon k rung utar gay..

Jb poocha kisi ne aey larki...!!

Tm ne ye chup kyun saadh li ha?

Wo kuch na boli, bus ro di..

Aur khaak pe hath ki ungli se...

Ik lafz likh dala..

UN JHEEL SI GEHRI AANKHON MN

un jheel si gehri ankhon main
ik shaam kahin aabaad tou ho

us jheel kinaaray pal dou pal
ik khwaab ka neela phool khilay
woh phool baha dain lehron main
ik roz kabhi hum shaam dhalay
uss phool kay behtay rangon main
jis waqt laraztaa chaand chalay

uss waqt kahin un ankhon main
uss basray pal ki yaad tou ho
un jheel si gehri ankhon main
ik shaam kahin aabaad tou ho

phir chahay umar samandar ki
har moj preshaan ho jaaye
phir chahay aankh dareechay say
her khwaab guraizaan ho jaaye
phir chahay phool kay chehray ka
her dard numayaan ho jaaye

uss jheel kinaray pal dou pal
woh roop-nagar iijaad tou ho
din raat kay iss aaieenay say
woh aks kabhi aazaad tou ho
un jheel si gehri ankhon main
ik shaam kahin aabaad tou ho

EK PAGAL SI LADKI


Ek Pagal Si Ladki,
Yakh Basta December Ki Raaton Mein,
Apne Kamre Ki Khidki Se,
Chandko Dhundti Rehti Hai,
Har Soo Takti Rehti Hai,
Aur Kehti Hai,
Chhup Se Gaye Ho Tum Bhi Aise,
Jaise Mera Chand Chhupa Hai,
Mera Chand Jo Tum Ko Mile To
Usse Kehna
Sangdili Ki Had Hoti Hai,
Laut Chalo Ke Teri Khatir,
Raahon Mein Palkon Ko Bichhaye,
Kabse Aansu Samet Rahe Hai,
Ek Pagal Si Ladki...

EK MAIN HE TO HU

Zindagi Ko Qayam Karne Wali,
Ek Main Hi To Hoon,
Sirf Haya Mein Ubharne Wali,
Khushiyon Mein Rang Bharne Wali,
Ek Main Hi To Hoon,
Dusron Ko Bardasht Karne Wali,
Apne Aap Se Ladne Wali,
Ek Main Hi To Hoon,

Apno Ki Khatir Ladne Wali,
Har Ehsaas Ko Janne Wali,
Ek Main Hi To Hoon,
Rasm-E-Duniya Ko Sehne Wali,
Aansu Ko Chup Chap Peene Wali,
Ek Main Hi To Hoon,
Dusron K Fateh Dene Wali,
Zindagi Ki Jang Se Ladne Wali,
Ek Main Hi To Hoon,
Pyaar Ko Phailane Wali,
Duniya Mein Aage Badhne Wali,
Ek Main Hi To Hoon...

Sheeshay se bani ek larki


Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se takraayi
Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Sheeshay se bani yeh larki
Is baat se hai anjaani
Jab rait chamakti hai to
Lagti hai door se paani
Yeh phool hain sab kaaghaz ke
Lekin woh samajh na paayi
Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se takraayi
Sheeshay se bani larki se
Keh do ke na baad mein rona
Kuch log hain jo peetal ke
Kehte hain woh khud ko sona
Yeh jhoot ka pul tootega
Aur gehri hai gham ki khaayi
Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se takraayi

AJEEB LARKI HU


Ajeeb larki hoon Khudh ko jalana chahti hoon
Mein khudh ko rakh kar kaheen bhool jana chahti hoon, 

Meray naseeb ki khushiyan bhi kab milen mujhko
Bas ab to umer bhar ansoo bahana chahti hoon,


Najaney kitni mohabbat hai ranj-o-gham sai mujhe
Koi bhi dard ho dil mein chupana chahti hoon,


Baha baha kai yeh ansoo bikhar chuki hoon buhut
simat kai zaat mein ab muskurana chahti hoon,


Jisey aik umer sai Dil mein basa kai rakha hai
Woh raaz aaj mein sab ko batana chahti hoon,


Wohi yaad hai jo acha kaha hai loghon nai
Baqaya sarey sitam bhool jana chahti hoon,


Mujhe zamaney nai pathar samjh lia hai magar
Mein aik Larki hoon sab ko batana chahti hoon,


Jo mujh sai ruth chuki hain zamaney ki khushiyan
To mein bhi khushyon sai ab ruth jana chahti hoon,

Woh meri khwahishein woh mera khwaab woh mera bachpan
Aye Umer rafta mein phir sai woh pana chahti hoon,

EK LARKI...

Ek Larki Rozana Gali Say Guzra Karti Thi
Uskay Chehray Par Niqaab Hua Karta Tha
Aik Larka Us Pay Marta Tha
Shayed Woh Us Say Payar Karta Tha
Ek Din Us Larki Nay Us Larkay Kay Parosi Say Pocha
To Usnay Bataya Aap Ko Aanay Mein Bohat Dair ho Gai
Us Dewanay Ki Teen Din Pehlay Hi Mout Ho Gai
Parosi Nay Apna farz Nibhaya
Larki Ko Qabar Tak Lay Aya
Larki Qabar Par ronay Lagi
Apnay Ashqo'N Say Qabar ko Bighonay lagi
Tab Qabar Say Awaaz Aei
Aye Khuda Yeh Kesa Inqlaab Aya Hay
Aaj Main Parday Mein Ho'n
Aur Mera MEHBOOB bay Niqaab Aya Hay

LADKIYAN BEWAFA NH HOTI...

Ladkiya Bewafa Nahi Hoti... 

Woh hamesha darti rehti hai 
Majbooriyo se lipti rehti hai 
Apne shiddat bhare khayaalo main 
Aansuo ko bahaati rehti hai 

Ladkiya Bewafa nahi hoti... 

Naa to jeeti hai naa to marti hai 
Pyaar karti bhi hai, to chupaati hai 
Dil main hote hai laakho armaaan 
Magar zubaan se kuch na wo kehti hai 

Ladkiya Bewafa nahi hoti... 

Darti hai apne reeti aur riwaajo se 
Apne pyaar se aur apne saaye se 
Apne rishton se aur apne dil ki dhadkan se 
Apni khwahisho se aur apni khushiyo se 

Ladkiya Bewafa nahi hoti... 

Duaa hai meri allah se, mere Rab se 
Mile saari khushiya inko, hum sab se 
Inki dil ki har aarzoo puri ho 
Naa Jaane khadi hai tere dar par kab se 

Ladkiya Bewafa nahi hoti.

MERE QAREEB TO AAO BHT UDAAS HU MN

Mery qareeb to ao bht udas hn main.
Bus aj toot k chaho bht udas hn main.

kisio b jhoty dilasy se dil ko behlao.
koi kahani sunao bht udas hn main.

andheri raat hai kuch b nazer nhi ata.
sitary torh k lao bht udas hun main.

suna hai prem nager me khushi b milti hai.
mjy yaqeen dilao bht udas hn main.

ye sham un hi guzer jae gi daby paon..
wafa ka geet gao bht udas hn main

JAAN-E-JAAN EID MUBARAK

Eid Mubarak

Tumhari khamoshi ka sabab
Janta hoon main
Rothe hoey ho tum
Manta hoon main
Per hisaar-e-anna main qaid
Ab ki bar bhi
Meri yeh khuwaush hai
Ke har bar ki tarah
Tum mujhe manao
Per yunhi dino ka shumaar karte karte
Tumhara intezaar karte karte
Calender ki taraf dekha
Tu khayal aaya
Ab ki bar main
Apni anna ko tor donga
Muhubat ki kahani ko
Naya aik mor doga
Shayad isi tor hojaey
Meri sari kutaiyoon ka tadraak
Lo aaj main tumhain kehta hoon
Jaan-e-jaan
Eid Mubarak!!

CHAND meri khirki mn aaye tab haina!!!


CHAND MERI KHERKI MEIN AYE

Chand Kabhi Tu Taron Ki Is Bheer Se Nikle

Aur Meri Kherki Mein Aye
Bilkul Tanha Aur Akela
Mein Us Ko Bahon Mein Bharlon
Aik Hi Sans Mein Sab Ki Sab Wo Baatein Karlon
Jo Mere, Talo Se Chemti
Dil Mein Semti Rehti Hain
Sab Kuch Aise Ho Jaye, Jab Hai Na!
Chand Meri Kherki Mein Aye, Tab Hai Na!

EID Mubbarak


BAHTI EID


PAGAL LARKI

        PAGAL LARKI

Tuesday 18 September 2012

KHABI KHUWABON K JUNGLE MAIN

Kabhi khuabon k jungle main
kabhi akailey pan ki daldal main
kisi sundal k saaey main
kabhi baadal ki chatri par
kisi din taiz barish main
kabhi darya k dhaarey par
kabhi dukh k kinaarey par
kabhi saahil par likhti hai
kabhi likh kar mitaati hai
kabhi likhney sey pehley hi
mitta kar hansney lagti hai
kisi din shaam sey pehley
mitaana bhool jati hai
to saari raat roti hai....

KAANCH KI GURIYA

Kaanch Ki Gurya"


♥ Khwabon ki ik basti thi
1 larki uss me rehti thi.....!!

♥ Apne ghar k aangan me
Kuch sapnay boya krti thi.....!!

♥ Apne kamray ki khirki me
Boondon se khela krti thi.....!!

♥ Sab k samne hansti thi or
Chup chup k roya krti thi.....!!

♥ Chaand ko kahin dair tak
Wo aksar ghoora krti thi.....!!

♥ Phir khud se batain krti thi
Dekhne wali sab aankhon ko ..!!

♥ Kaanch ki gurya lagti thi
Toot gayi to sab ne jana.....!!

♥ Wo pagli, pyar kisi se krti thi.

JO MAIN JANTI

Jo main jaanti bisarat hain sainyaaN 
ghunghataa meiN aag lagaa deti
maiN laaj ke bandhan toaD sakhi 
piyaa pyaare ko apane manaa leti

Mere haar-singaar ki raat gayi 
piyuu sang umang meri aaj gayi 
ghar aaye naa more saaNvariyaa 
maiN to tan-man unpe luTaa deti 

Mohe preet ki reet naa bhaayi sakhi 
maiN banake dulhan pachhataayi sakhi 
hoti naa agar duniyaa ki sharam 
unhen bhej ke patiyaan bulaa leti

CHOORIYAAN or LARKIYAAN

EK Jesi Lagti Hain’ Churiyan or Larkiyan,
Hansti Hain’ Khanakti Hain’ Churiyan or Larkiyan..

Nazuk Inteha ki’ Ek Zara-si Thais se,
Toot-Kar Bikhrti Hain’ Churiyan or Larkiyan..

UNKY Torrny-WaLy ko Ehsaas-tk Nahi Hota,
Bikhr-k KAB SambhLti Hain’ Churiyan or Larkiyan..

Zindagi ki Dharkano ko Ek RYTHM-sa Deti Hain,
Zeest ko Sajati Hain’ Churiyan or Larkiyan.

Apney Dukh ko Apney Andar
Rakh k BhooL Jaati Hy,

Bahir se Chamakti Hain
‘Churiyan or Larkian’….♥